04 February, 2007

Mayoos Intezaar

In bojhil sannaton mein, hoti ho jab saamne tum
Sochta hoon bhaag jaun door, vaadi-e-zindagi se
Aisa nahin ke khushi nahin, kareeb tere hone ka
Jaanta hoon ke sapne hain, yeh lamhe bekhudi ke

Phir bhi is tanhaai mein, Jab hota hoon naashaad sa
Parchhaain hi sahi par hoti ho tum paas jab
chaahta hoon ke rah jaaun jaagta umra bhar yun hi
yun hi karoon deedar tera yun hi kate tadap kar shab

Jis roop ko paakar hua tha khud se bekhabar
Usi roop mein tujhko paaya hai aksar raaton mein
Aangan mein kabhi chhat pe, god mein sar ko rakhe
Honth saheje palkon pe, chehra thaamein haathon mein

Bahut door ho shaayad tera aana mumkin nahin
Teri khanakti aawaazen door nahin huyeen ab tak
Chhoo jaati hai ab bhi saanson ke garmee teri
Jism door magar saansein door nahin huyeen ab tak

Roz yun hi raaton mein takta hoon maatha chaand ka
Sochta hoon bhoole se hi shaayad aa jao kabhi
Chali gayee hai sang tere neend bhi meri rooth ke
Kabhie na jaagoon is taraha mujhe sula jaao kabhi.

Kisi Ke Ho Gaye

Hum tumhare tum kisi ke ho gaye
Din poore ab zindagi ke ho gaye.

Muskuraane ka samay chala gaya
Haadse hi naam khushi ke ho gaye.

Pahlu me ghair ke dekh kar zinda rahen
Hum bhi moorat bebasi ke ho gaye.

Jin nighahon per raaz hamara chalta tha
Wo amaanat aur kisi ke ho gaye.

Unke bina jeena bhi koi jeena hai
Yeh acchhe bahane khudkushi ke ho gaye.

Bahut Gahra Hai

Dard ki daryaon ka samandar bahut gahra hai
Bach Pana Kathin hai bhanwar bahut gahra hai.

Dil ki baat kah di, haan kaho ya na kaho
Kintu parantu lekin agar magar bahut gahra hai.

Upar upar toh liya kahte ho ki dum nahin
Zara jhank kar dekho to saagar bahut gahra hai.

Ek fasana bisra kar umra tamam kar liya
Un zakhmon ka ab bhi asar bahut gahra hai.

Shant hoon khamosh hoon to jo chhaho woh samjho
Jan ne wale jaante hain jigar bahut gahra hai.

Sathi re! thak jayega ab to udna chhod de
Bahut ud chuka aasman upar bahut gahra hai.